اردو हिंदी
Dagh hone lage zahir mere | Shaahi Shayari
dagh hone lage zahir mere

Ghazal

Dagh hone lage zahir mere

Vikas Sharma Raaz

;

dagh hone lage zahir mere
tez kar rang musawwir mere

meri aankhon mein siyahi bhar de
ya hare kar de manazir mere

nuqrai jhil bulati thi unhen
phans gae jal mein tair mere

kaun tahlil hua hai mujh mein
muntashir kyun hain anasir mere

hai kahan shankh bajaane wala
kab se KHamosh hain mandir mere

sang se jism bhi kar ab mujh ko
tu kahan khoya hai sahir mere

lafz ki qaid-o-rihai ka hunar
kaam aa hi gaya aaKHir mere