اردو हिंदी
Dagh-ha-e-dil ki tabani gai | Shaahi Shayari
dagh-ha-e-dil ki tabani gai

Ghazal

Dagh-ha-e-dil ki tabani gai

Yaqoob Ali Aasi

;

dagh-ha-e-dil ki tabani gai
un ke jalwon ki farawani gai

aashna na-ashna se ho gae
apni surat bhi na pahchani gai

ek dil mein saikDon gham ka hujum
phir bhi us ghar ki na virani gai

ab kahan wo jazba-e-mahr-o-wafa
aadmi se KHu-e-insani gai

aaine mein waqt ke ai ham-nafas
doston ki shakl pahchani gai

rah gae hosh-o-KHirad ke falsafe
justuju ta-hadd-e-imkani gai

'mir'-o-'ghaalib' 'wahshat'-o-'dagh'-o-'jigar'
kya gae 'asi' ghazal-KHwani gai