dagh-e-sina markaz-e-tanwir hai
dil ka chhaala chand ki taswir hai
zindagi kiya hai koi samjhae to
KHwab hai ya KHwab ki tabir hai
chain se zindan mein baiThe ab junun
panw mein chakkar nahin zanjir hai
phunk dengi nafraten ghar aap ka
nam darwaze pe kyun tahrir hai
ghar ka ek naqsha bana leti hai rose
ye jo dil mein hasrat-e-tamir hai
hum aman pate the jis ke sae mein
wo shajar ab dhup ki taswir hai
kis ke wade par karen hum e'tibar
kis ke mathe pe wafa tahrir hai
Ghazal
Dagh-e-sina markaz-e-tanwir hai
Mahtab Alam