اردو हिंदी
Dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya | Shaahi Shayari
dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya

Ghazal

Dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

;

dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya
daman mein KHar chaak gareban mein rah gaya

jab do qadam junun mein mera sath ho gaya
phaila ke panw qais bayaban mein rah gaya

abru-e-yar se jo bahut munfail hua
munh Dal kar hilal gareban mein rah gaya

taqlid ban paDi na tumhaari KHiram ki
taus laDkhaDa ke gulistan mein rah gaya

aai bahaar aur na chhuTa main ai junun
kaisa taDap ke KHana-e-zindan mein rah gaya

tuda qaza ne nawak-e-jallad ka kiya
main Dher ho ke ganj-e-shahidan mein rah gaya

kya hadisa paDa mere yusuf par ai 'saba'
dil gir ke un ki chah-e-zanaKHdan mein rah gaya