dagh-e-dil hum ko yaad aane lage
log apne diye jalane lage
kuchh na pa kar bhi mutmain hain hum
ishq mein hath kya KHazane lage
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahane lage
KHud-farebi si KHud-farebi hai
pas ke Dhol bhi suhane lage
ab to hota hai har qadam pe guman
hum ye kaisa qadam uThane lage
is badalte hue zamane mein
tere qisse bhi kuchh purane lage
ruKH badalne laga fasane ka
log mahfil se uTh ke jaane lage
ek pal mein wahan se hum uTThe
baiThne mein jahan zamane lage
apni qismat se hai mafar kis ko
tir par uD ke bhi nishane lage
hum tak aae na aae mausam-e-gul
kuchh parinde to chahchahane lage
sham ka waqt ho gaya 'baqi'
bastiyon se sharar aane lage
Ghazal
Dagh-e-dil hum ko yaad aane lage
Baqi Siddiqui