اردو हिंदी
Dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras | Shaahi Shayari
dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

Ghazal

Dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

Habeeb Musvi

;

dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras
baad muddat ke hai phir josh-e-bahaar ab ke baras

aabiyari se teri ai tegh-e-yar ab ke baras
taKHta-e-gul hai hamara jism-e-zar ab ke baras

ta-ba-daman hai gareban tar tar ab ke baras
TuTte hain talwon mein chubh chubh ke KHar ab ke baras

hai ye zor-e-amad-e-fasl-e-bahaar ab ke baras
mast hain zahid bhi misl-e-baada-KHwar ab ke baras

ulfat-e-saqi ne lo zahid ko bhi khincha idhar
daur-e-mai ka subha par hoga shumar ab ke baras

fasl-e-gul mein baad-e-murdan bhi hua josh-e-junun
sang-e-tiflan se ho tarmim-e-mazar ab ke baras

shishe mein pinhan hai mai aur dil mein zauq-e-mai-kashi
aate hi saqi ke ai abr-e-bahaar ab ke baras

saqiya ainak chaDhe hon ranj-o-gham baala-e-taq
baada-e-di-sala ka shisha utar ab ke baras

zulm par bandhi hai phir sayyaad-o-gulchin ne kamar
qaid-e-bulbul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

aarzu hai baad-e-murdan bhi rahun sairab-e-mai
sarf-e-jam-o-KHum karen mera ghubar ab ke baras

josh-e-KHun-e-bulbul-e-shaida ka paida ho asar
le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-KHar ab ke baras

julte hain dil bulbulon ke aashiyan ki tarah se
aatish-e-gul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

qismat apni apni hai achchha mubarak ho 'habib'
KHar-e-gham hum ko tumhein pahlu-e-yar ab ke baras