اردو हिंदी
Dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane | Shaahi Shayari
dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane

Ghazal

Dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane

Mahir Aarwi

;

dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane
aur chahun jo chhupana to chhupae na bane

daman-e-dil mein wo jab chahen laga den ek aag
hum agar chahen bujhana to bujhae na bane

tum ko manzur nahin apne taghaful se gurez
hum pe ban aai hai aisi ki banae na bane

uf re ye tira-nasibi ye andhere ka farogh
dip aankhon ka jalaun to jalae na bane

hae ye fitrat-e-husn uf wo mizaj-e-nazuk
naz uThana bhi jo chahun to uThae na bane

soch ke dijiye diwane ko daman ki hawa
ye bhi mumkin hai ki phir hosh mein aae na bane

naz hai taqat-e-guftar pe 'mahir' ko magar
dil pe guzri hai kuchh aisi ki sunae na bane