اردو हिंदी
Dagh-e-dil apna jab dikhata hun | Shaahi Shayari
dagh-e-dil apna jab dikhata hun

Ghazal

Dagh-e-dil apna jab dikhata hun

Taban Abdul Hai

;

dagh-e-dil apna jab dikhata hun
rashk se shama ko jalata hun

wo mera shoKH hai nipaT chanchal
bhag jata hai jab bulata hun

us pari-ru ko dekhta hun jab
ho ke diwana sudh bhulata hun

mujh ko deta hai galiyan uTh kar
nind se jab use jagata hun

jab mujhe gherta hai gham 'taban'
saghar-e-mai ko bhar pilata hun