dagh dil chamka to gham paida hua
ye andhera subh-dam paida hua
main hun wo gum-gashta-e-rah-e-talab
meri hasti se adam paida hua
ho gai har ek beshi mein kami
jab KHayal-e-besh-o-kam paida hua
un ke aane ki KHushi kya chiz thi
is KHushi se aur gham paida hua
mai-kade mein shaiKH bhi aaya agar
gardan-e-mina mein KHam paida hua
husn mein taKHliq ka jauhar bhi hai
us ke main kahne se ham paida hua
yaad un ki yun rafiq-e-rah thi
har qadam par ham-qadam paida hua
kya kahen hum is ada-e-KHas ko
har karam se ek sitam paida hua
marg ka kuchh bhi na tha ai 'josh' gham
un ke wade se ye gham paida hua
Ghazal
Dagh dil chamka to gham paida hua
Josh Malsiani