daen bazu mein gaDa tir nahin khinch saka
is liye KHol se shamshir nahin khinch saka
shor itna tha ki aawaz bhi Dabbe mein rahi
bhiD itni thi ki zanjir nahin khinch saka
har nazar se nazar-andaz-shuda manzar hun
wo madari hun jo rahgir nahin khinch saka
main ne mehnat se hatheli pe lakiren khinchin
wo jinhen katib-e-taqdir nahin khinch saka
main ne taswir-kashi kar ke jawan ki aulad
un ke bachpan ki tasawir nahin khinch saka
mujh pe ek hijr musallat hai hamesha ke liye
aisa jin hai ki koi pir nahin khinch saka
tum pe kya KHak asar hoga mere sheron ka
tum ko to mir-taqi-'mir' nahin khinch saka
Ghazal
Daen bazu mein gaDa tir nahin khinch saka
Umair Najmi