dad to baad mein kamaenge
pahle hum sochna sikhaenge
main kahin ja nahin raha lekin
aap kya mere sath aaenge
koi khiDki khulegi raat gae
kai apni murad paenge
khul ke rone pe iKHtiyar nahin
hum koi jashn kya manaenge
hansenge teri bad-hawasi par
log rasta nahin bataenge
tum uThaoge koi ranj mera
dost ahbab haz uThaenge
hamein apni talash mein mat bhej
khaDi faslen ujaD aaenge
Ghazal
Dad to baad mein kamaenge
Jawad Sheikh