اردو हिंदी
Dad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle | Shaahi Shayari
dad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle

Ghazal

Dad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle

Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi

;

dad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle
maut aati jo kahin dil ko jigar se pahle

tasfiya karte na hangam-e-sahar se pahle
puchh lete kisi mayus nazar se pahle

mera marna tumhein ho jaega KHud hi malum
dil taDap uTThega sine mein KHabar se pahle

tum to kahte the ki main dard ka qail hi nahin
kaun chiKHa mere nalon ke asar se pahle

nam jis chiz ka hai maut jahan mein mashhur
waqia ye to hua dard-e-jigar se pahle

aaj ki raat to kuchh aur KHabar deti hai
ho munasib to chale aana sahar se pahle

ek bijli si meri aankhon ke andar kaundi
aur irada jo hua azm-e-safar se pahle

roi majburiyon par chaaragaron ki qismat
mar gaya aap ka bimar sahar se pahle

main bhi samjha hun tere naqsh-e-qadam ka matlab
main bhi guzra tha isi rahguzar se pahle