dad bhi fitna-e-bedad bhi qatil ki taraf
be-gunahi ke siwa kaun tha bismil ki taraf
manzilen rah mein thin naqsh-e-qadam ki surat
hum ne muD kar bhi na dekha kisi manzil ki taraf
maqtal-e-naz se guzre to guzarne wale
phul kuchh phenk gae daman-e-qatil ki taraf
jhilmilate nahin be-wajh to mahfil ke charagh
ek nazar dekh to lo sahab-e-mahfil ki taraf
kitni be-kaif hain sahil ki fazaen ya rab
koi tufan ka ruKH moD de sahil ki taraf
yaad aata hai wo andaz-e-tajahul ai dost
baat auron se magar ru-e-suKHan dil ki taraf
zikr aaya tha hayat-e-abadi ka 'taban'
log kyun takne lage kucha-e-qatil ki taraf
Ghazal
Dad bhi fitna-e-bedad bhi qatil ki taraf
Taban Ghulam Rabbani