اردو हिंदी
Chur tha zaKHmon se dil zaKHmi jigar bhi ho gaya | Shaahi Shayari
chur tha zaKHmon se dil zaKHmi jigar bhi ho gaya

Ghazal

Chur tha zaKHmon se dil zaKHmi jigar bhi ho gaya

Habib Jalib

;

chur tha zaKHmon se dil zaKHmi jigar bhi ho gaya
us ko rote the ki suna ye nagar bhi ho gaya

log usi surat pareshan hain jidhar bhi dekhiye
aur wo kahte hain koh-e-gham to sar bhi ho gaya

baam-o-dar par hai musallat aaj bhi sham-e-alam
yun to in galiyon se KHurshid-e-sahar bhi ho gaya

us sitamgar ki haqiqat hum pe zahir ho gai
KHatm KHush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya