chur sadmon se ho baid nahin
aabgina hai dil hadid nahin
mai-kashi kya kare bhala zahid
maghfirat ki use umid nahin
chaar-su hai andhera aankhon mein
chaar din se jo us ki did nahin
mere aage mili wo ghairon se
hai moharram mujhe ye id nahin
qatl aalam hai tere abru par
koi talwar se shahid nahin
apne dil se mujhe iradat hai
main kisi pir ka murid nahin
dil kisi se lage to kya chhuTe
koi is qufl ki kalid nahin
dekh le mar ke saKHti-e-sakraat
sadma-e-hijr se shadid nahin
wasl-e-jaanan hai segha-e-tohmat
ki mujarrad hain hum mazid nahin
ishq kya dard hai KHudawanda
koi daru-dawa mufid nahin
nahno-aqrab dalil hai ai 'bahr'
yar nazdik hai baid nahin
Ghazal
Chur sadmon se ho baid nahin
Imdad Ali Bahr