اردو हिंदी
Chur ana kar di patthar-pan toD diya | Shaahi Shayari
chur ana kar di patthar-pan toD diya

Ghazal

Chur ana kar di patthar-pan toD diya

Saurabh Shekhar

;

chur ana kar di patthar-pan toD diya
aag ne kuchh pal mein pighla kar loha moD diya

fikr mujhe apne bachchon ke sar ki hoti thi
jarjar ghar tha sachchai ka aaKHir chhoD diya

apne chaaron or uTha di main ne diwaren
ek suraKH magar mazi ka us mein chhoD daya

noch gharaunda bhi na bhara jab us bandar ka ji
us ne phir chiDiya ka ek ek anDa phoD diya

pichhe pichhe ghar aa jate hain kuchh paltu Dar
lakh unhen main ne rasta bhaTka kar chhoD diya

roz-o-shab ke imtihan se aajiz aa kar aaj
phaD diya parcha main ne uttar moD diya