chust kamar ka kya sabab tang qaba ki wajh kya
hum to hain aap sar-ba-kaf hum se ada ki wajh kya
KHak mein jo mila ho KHud us pe sitam se kya husul
husn ki ye sarisht hai warna jafa ki wajh kya
apni hain jaisi KHaslaten mujh pe bhi hai guman wahi
ye nahin gar sabab to phir tark-e-wafa ki wajh kya
mashrab-e-ishq mein dila kufr hai yar se riya
jab ki buton ka dhyan ho zikr-e-KHuda ki wajh kya
aaj kiye hazar qatl kal kiye aur bhi siwa
shaghl ye jis nigah ka ho us ko haya ki wajh kya
ruh-o-jasad ka sabiqa kitne dinon ka hai bhala
donon ki jins do hai jab un mein wafa ki wajh kya
sadma-e-dard-o-ranj-o-gham tul-e-firaq ka alam
hain ye hawadisat chand un ki baqa ki wajh kya
sun len jo wo zahe-nasib gar na sunen to kya gila
hai ye unhin se guftugu tark-e-dua ki wajh kya
malik-e-dil hain jab wahi jab hai unhin ka iKHtiyar
murtakib-e-gunah kyun jurm-o-KHata ki wajh kya
roe hain hum zarur 'shad' tab to hai lab pe aah-e-sard
meinh na baras gaya to phir ThanDi hawa ki wajh kya
Ghazal
Chust kamar ka kya sabab tang qaba ki wajh kya
Shad Azimabadi