chura na aankh ko saqi ki baada-nosh hun main
abhi to faisla hota hai ek saghar par
mariz-e-ishq ki haalat kabhi na sanbhlegi
mujhe to chhoD de ai chaara-gar muqaddar par
hamare nale bhi thak thak ke ab to baiTh rahe
gae wo din ki uThate the aasman sar par
hamare mai-kada ko chhoD kar na ja zahid
milega qatra na kam-baKHt hauz-e-kausar par
gila na hum ne kiya 'shauq' us sitamgar se
balaen sab wo uThain jo aa paDin sar par

Ghazal
Chura na aankh ko saqi ki baada-nosh hun main
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq