اردو हिंदी
Chura ke mere taq se kitab koi le gaya | Shaahi Shayari
chura ke mere taq se kitab koi le gaya

Ghazal

Chura ke mere taq se kitab koi le gaya

Hameed Almas

;

chura ke mere taq se kitab koi le gaya
meri tamam umr ka hisab koi le gaya

ye waqia hai jab luTi mere chaman ki aabru
larazti shaKH rah gai gulab koi le gaya

wahi to ek zariya-e-najat mere pas tha
magar mere zamir ka sawab koi le gaya

sawal ban ke ru-ba-ru khaDi hui thi zindagi
mera lahu nichoD kar jawab koi le gaya

mere badan mein chubh rahi thin suiyan si raat bhar
sahar hui to lutf-e-iztirab koi le gaya

chhupa liya hai main ne sara dard apni ruh mein
tasalliyon ka zahiri naqab koi le gaya