chupke se nam le ke tumhaara kabhi kabhi
dil Dubne laga to ubhaara kabhi kabhi
har-chand ashk-e-yas jab umDe to pi gae
chamka falak pe ek sitara kabhi kabhi
main ne to honT si liye is dil ko kya karun
be-iKHtiyar tum ko pukara kabhi kabhi
zahr-e-alam ki aur baDhane ko talKHiyan
be-mehriyon ke sath mudara kabhi kabhi
ruswaiyon se dur nahin be-qarariyan
dil ko ho kash sabr ka yara kabhi kabhi
qatre ke ek mauj ye kahti nikal gai
sahil se maslahat hai kinara kabhi kabhi
ai shahid-e-jamal koi shakl hai ki ho
teri nazar se tera nazara kabhi kabhi
hangam-e-girya aah se nadan 'asar' hazar
uDta hai ashk jaise sharara kabhi kabhi
Ghazal
Chupke se nam le ke tumhaara kabhi kabhi
Asar Lakhnavi