اردو हिंदी
Chupke se dimagh mein dar aae | Shaahi Shayari
chupke se dimagh mein dar aae

Ghazal

Chupke se dimagh mein dar aae

Kalidas Gupta Raza

;

chupke se dimagh mein dar aae
yaadon ke safir bin bulae

kab tak dukh ka dhuan dhuan sa
kab tak gham ke muhib sae

bahrupiyo rup ki duhai
taskin-e-nazar ko koi aae

baiThe hain qadam qadam pe naqqad
taid ki mishalen jalae

daman-e-KHirad ne ye hawa di
jitne the charagh sab bujhae

aankhon se nikal gaya andhera
tare se palak pe jagmagae

gulshan gulshan khangal Dala
KHushbu KHushbu pukar aae

is koh-e-KHirad ko main karun kya
diwane se kab uThaya jae

hun bu-e-gul KHizan-gazida
koi jise DhunDe bhi na pae

pat-jhaD ko rahnuma bana kar
kaliyon ne ajib gul khilae

darbar-e-suKHan-waran mein tanha
baiTha hai raza bhi sar jhukae