chupke chupke ye kaam karta ja
kaam sab ka tamam karta ja
hum ko badnam kar zamane mein
kuchh zamane mein nam karta ja
yaad ki shah-rah-e-simin par
ai saman-bar KHiram karta ja
ai ki tera mizaj shabnam sa
barg-e-dil par qayam karta ja
ashk aankhon mein le ke ruKHsat ho
mera marna haram karta ja
bastiyon ka ujaDna basna kya
be-jhijak qatl-e-am karta ja
dastan-go teri kahani mein
ramz kiya hai kalam karta ja
chaar chhai sher kaam ke kah le
kuchh to 'mazhar--imam' karta ja

Ghazal
Chupke chupke ye kaam karta ja
Mazhar Imam