chupke chupke ek to Tis aap jamani auron se
tis ulTi hum ko tohmat aa ke lagani auron se
hum se to bas bandhe rakhti sharm ki paTTi aankhon par
chori chori mahfil mein par aankh laDani auron se
auron ke to hum se na kahne hum se le kar ji ki baat
jun ki tun sab baat ye kyun ji ja ke sunani auron se
mujh se kaho ho aahen bhar bhar huk jigar mein uThti hai
aur yunhi dar-parda apni chah jatani auron se
laung khilaen hum jo kabhi to us ko Dalo munh se thuk
aur ye kyun ji rose mufarreh chhinke khani auron se
auron ke to ghar mein ja kar dauD ke pini aap sharab
mere aage pi nahin sakte mang ke pani auron se
hum jo paDhen koi sher to kahna sher se hum ko zauq nahin
'mir'-hasan ke ghar mein kahani ja ke paDhani auron se
parda is mein kya hai pyare duniya mein 'maruf' hai ye
aashiq se hai bair tujhe aur ulfat jaani auron se
Ghazal
Chupke chupke ek to Tis aap jamani auron se
Maroof Dehlvi