chup the jo but sawal ba-lab bolne lage
Thahro ki qaus-e-barq-o-lahab bolne lage
viraniyon mein saz-e-tarab bolne lage
jaise lahu mein aab-e-inab bolne lage
ek rishta ehtiyaj ka sau rup mein mila
so hum bhi ab ba-tarz-e-talab bolne lage
KHamosh be-gunahi akeli khaDi rahi
kuchh bolne se pahle hi sab bolne lage
pahle tum is mobile ko be-rabta karo
kam-zarf hai na jaane ye kab bolne
sar piTta hai natiqa hairan hai aagahi
purze machine ke bhi adab bolne lage
barham the KHwab nind ki retili os par
us par sitam ki taer-e-shab bolne lage
hai waqt ya shuur ye guzra hai jo abhi
tum bhi 'KHalish' zaban ajab bolne lage
Ghazal
Chup the jo but sawal ba-lab bolne lage
Badr-e-Alam Khalish