chup rahe to shahr ki hangama aarai mili
ab agar khole to hum ko qaid-e-tanhai mili
zindagi ki zulmaten apne lahu mein rach gain
tab kahin ja kar hamein aankhon ki binai mili
mausam-e-gul ki nai taqsim hairan kar gai
zaKHm phulon ko mile kanTon ko ranai mili
sath-e-dariya par ubharne ki tamanna hi nahin
arsh par pahunche hue hain jab se gahrai mili
dusron ko sang-e-dil kahna baDa aasan tha
KHud ko jab dekha to apni aankh pathrai mili
Ghazal
Chup rahe to shahr ki hangama aarai mili
Afzal Minhas