chup khaDe hain darmiyan-e-kaba-o-but-KHana hum
kis taraf jaen bata ai jalwa-e-jaanana hum
azmat-e-rafta se itne ho gae begana hum
ban gae hain apni hi nazron mein aaj afsana hum
hae ye majmua-e-sar-masti-o-kaif-o-KHumar
tak rahe hain teri aankhon ko liye paimana hum
bewafa shamen bahar-su DhunDhti hain ab hamein
miT gae jab surat-e-KHakistar-e-parwana hum
hain nigahon mein abhi tak tur ki ruswaiyan
ab kahan jurat ki dekhen jalwa-e-jaanana hum
aarzu-e-sajda-rezi had se baDh jati hai jab
sar tere qadmon pe rakh dete hain betabana hum
pa-e-saqi tak jabin-e-shauq ko pahuncha diya
tere mamnun-e-karam hain laghzish-e-mastana hum
Ghazal
Chup khaDe hain darmiyan-e-kaba-o-but-KHana hum
Ejaz Warsi