اردو हिंदी
Chup ke sahra mein faqat ek sada kaun hun main | Shaahi Shayari
chup ke sahra mein faqat ek sada kaun hun main

Ghazal

Chup ke sahra mein faqat ek sada kaun hun main

Zakir Khan Zakir

;

chup ke sahra mein faqat ek sada kaun hun main
ai KHuda tu hi bata mujh ko zara kaun hun main

Dubta hun to ubhar jata hun lamha-bhar main
kis ke honTon pe hun main harf-e-dua kaun hun main

apni hi zat ki tashrih nahin kar sakta
rok leti hai mujhe meri ana kaun hun main

wasl ne mere tashaKHKHus ko sambhaale rakkha
hijr-o-wahshat se kabhi puchh zara kaun hun main

main zamin-zad bhula baiTha hun mansab apna
hai KHabar apni na apna hai pata kaun hun main

us ke jaane se ye mahsus hua hai 'zakir'
hai meri ruh alag jism juda kaun hun main