اردو हिंदी
Chup hai wo mohr-ba-lab main bhi rahun achchha hai | Shaahi Shayari
chup hai wo mohr-ba-lab main bhi rahun achchha hai

Ghazal

Chup hai wo mohr-ba-lab main bhi rahun achchha hai

Shaanul Haq Haqqi

;

chup hai wo mohr-ba-lab main bhi rahun achchha hai
halka halka ye mohabbat ka fusun achchha hai

mausam-e-gul na sahi shaghl-e-junun achchha hai
hamdamo! tez rahe gardish-e-KHun, achchha hai

tum bhi karte rahe talqin sakun ki KHatir
main bhi aawara o sar-gashta rahun achchha hai

wo bhi kiya KHun ki ho jabr ki buniyaad mein jazb
jo yunhi muft mein bah jae wo KHun achchha hai

baat wo aai hai lab par ki kahe bin na rahun
aql jame se ho bahar to junun achchha hai

gar bhaTakne hi ki Thani hai rafiqon ne to KHair
munh se kuchh kah na sakun sath to dun achchha hai

dil ka ahwal ki kuchh zikr-e-zamana chheDun
baat yun chheDna achchha hai ki yun achchha hai

main ne kya kya na kaha sher mein un se 'haqqi'
wo faqat sun ke ye kahte rahe hun achchha hai