chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai
aur kahin bich mein imkan ka pal paDta hai
ek wahshat hai ki hoti hai achanak tari
ek gham hai ki yakayak hi ubal paDta hai
yaad ka phul mahakte hi nawah-e-shab mein
koi KHushbu se mulaqat ko chal paDta hai
hujra-e-zat mein sannaTa hi aisa hai ki dil
dhyan mein gunjti aahaT pe uchhal paDta hai
rok leta hai abad waqt ke us par ki rah
dusri samt se jaun to azal paDta hai
saaton ki yahi takrar hai jari har-dam
meri duniya mein koi aaj, na kal paDta hai
tab-e-yak-lahza kahan husn-e-junun-KHez ke pesh
sans lene se tawajjoh mein KHalal paDta hai
mujh mein phaili hui tariki se ghabra ke koi
raushni dekh ke mujh mein se nikal paDta hai
jab bhi lagta hai suKHan ki na koi lau hai na rau
dafatan harf koi KHun mein machal paDta hai
gham chhupae nahin chhupta hai karun kya 'irfan'
nam lun us ka to aawaz mein bal paDta hai
Ghazal
Chup hai aaghaz mein, phir shor-e-ajal paDta hai
Irfan Sattar