chup-chap se is dasht mein zulmat ka saman hai
pathrai hui aankh mein shoala bhi kahan hai
sukhe hue patton ko jo raundo to sada den
piste hue insan ke munh mein to zaban hai
azmat ki bulandi pe main jis samt gaya hun
dekha hai tere panw ka pahle hi nishan hai
aandhi jo chali sath uDa le gai sab ko
kya jaaniye is dasht mein ab kaun kahan hai
roken bhi to 'KHawar' use roka nahin jata
jhonke pe mujhe umr-e-gurezan ka guman hai
Ghazal
Chup-chap se is dasht mein zulmat ka saman hai
Khaqan Khavar