chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya
jhonka hawa ka aate hi kamre mein mar gaya
suraj lihaf oDh ke soya tamam raat
sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
jo naKHuda ko kah na saka umr bhar KHuda
wo shaKHs kal ana ke jazire mein mar gaya
editori ne kaT din taKHliq ki ragen
achchha-bhala adib risale mein mar gaya
suraj ne aansuon ki tawanai chhin li
shabnam sa shaKHs dhup ke qasbe mein mar gaya
is martaba bhi sachchi gawahi usi ne di
is martaba magar wo kaTahre mein mar gaya
'nasik' wo apni zat mein manzil se kam na tha
wo rah-raw-e-hayat jo raste mein mar gaya
Ghazal
Chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya
Athar Nasik