اردو हिंदी
Chup baiTha mein akasr sochta rahta hun | Shaahi Shayari
chup baiTha mein akasr sochta rahta hun

Ghazal

Chup baiTha mein akasr sochta rahta hun

Anwar Anjum

;

chup baiTha mein akasr sochta rahta hun
aaKHir main kyun itna tanha tanha hun

pahron jin ki jhil mein khoya rahta tha
un aankhon ki yaad mein Duba rahta hun

tum jo baaten bhul chuke ho muddat se
main to un mein ab bhi uljha rahta hun

tum badlo to badlo apni rah magar
main to ek Dagar par chalta rahta hun

sada-pan kuchh neki hi ka nam nahin
dekhne mein to main bhi sidha-sada hun

tere ghar bhi pahuncha hai ye shor kabhi
ya main hi anjaan sadaen sunta hun

ghar ki diwaron mein yun dil tang na ho
DhunDh mujhe main is ghar ka darwaza hun

jis ne pyar se dekha us ke sath hua
sach puchho to main bhi ab tak bachcha hun

'anjum' main kyun duniya par ilzam rakhun
aankhen hain to phir kyun Thokar khata hun