chshme-e-be-kaif mein karinda-e-manzar na raha
tishna-lab KHwab raha surKH samundar na raha
tirgi rang-e-tilismat ko oDhe aai
marhala ye bhi dabe KHauf ke bahar na raha
ajnabiyyat ka tamasha na ho kaise uryan
dida-e-shiddat-e-ehsas barabar na raha
koi lamha to sukut-e-shab-e-gham Thahre bhi
wadi-e-surKH mein ab dard ka lashkar na raha
tishnagi zor-e-talab-tab se bol uThi hai
chand qatre hi sahi koi shanawar na raha
thi shikan lamha-e-maujud ki peshani par
phir bhi mayus qad-e-pa-e-payambar na raha
ek bhi bund ki qurbani bahut thi 'amir'
koi aasar-e-hayat abr-e-ufuq par na raha
Ghazal
Chshme-e-be-kaif mein karinda-e-manzar na raha
Amir Nazar