اردو हिंदी
ChoT dil par lage aur aah zaban se nikle | Shaahi Shayari
choT dil par lage aur aah zaban se nikle

Ghazal

ChoT dil par lage aur aah zaban se nikle

Arun Kumar Arya

;

choT dil par lage aur aah zaban se nikle
dard uTThe hai kahan aur kahan se nikle

pyar hai us ko agar mujh se to anjam ye ho
ghar jale mera dhuan us ke makan se nikle

si liya hum ne to ulfat mein labon ko apne
ab kisi dard ki aawaz kahan se nikle

mujh ko marne ka nahin KHauf tamanna ye hai
ruh mahbub ki banhon mein yahan se nikle

chuk aankhon se hui hai yahi sach hai warna
koi ghayal na ho jab tir kaman se nikle

Thokaren kha ke bhi sambhle na zamane ki hum
hath malte hue chup-chap jahan se nikle

hum ko zarra hi samajhte the sitare lekin
ban ke hum chand 'arun' sare jahan se nikle