اردو हिंदी
Chori se do ghaDi jo nazare hue to kya | Shaahi Shayari
chori se do ghaDi jo nazare hue to kya

Ghazal

Chori se do ghaDi jo nazare hue to kya

Ahmad Husain Mail

;

chori se do ghaDi jo nazare hue to kya
chilman to bich mein hai ishaare hue to kya

bosa-dahi ka lutf mila husn baDh gaya
ruKHsar lal lal tumhaare hue to kya

be-parda munh dikha ke mere hosh uDao tum
parde ki aaD se jo nazare hue to kya

mujh ko kuDha kuDha ke wo marenge jaan se
dilbar hue to kya mere pyare hue to kya

ai jaan muqabla mere hathon se kab hua
jauban tere ubhar ke karare hue to kya

ulfat ka lutf kya jo baghal hi na garm ho
wo dil mein rahne wale hamare hue to kya

tasir de dua mein KHuda hai yahi dua
unche jo donon hath hamare hue to kya

bosa na de wo mujh ko to main is ko dil na dun
is gore hath se jo ishaare hue to kya

tum soo phail ke phulon ki sej par
furqat mein hum jo gor kinare hue to kya

sina mila ke sina se dil mein jagah karo
phirte ho jaubanon ko ubhaare hue to kya

kab khelne pakaD ke hawa mein se lae wo
jugnu jo aah dal ke sharare hue to kya

ai jaan hai teri zulf-e-pareshan ka husn aur
huron ke baal hain jo sanware hue to kya

aankhen khuli bhi hun to wahi samne rahe
aankhon ko band kar ke nazare hue to kya

lakhon maze milen mere lab se agar milen
wo gore gal aankh ke tare hue to kya

yak bosa aur lunga araq munh se puchh kar
wo aab aab sharm ke mare hue to kya

'mail' na ho visal to kya ishq ka maza
mashuq dur se wo hamare hue to kya