chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki
KHush-bu uDa ke lai hai gesu-e-yar ki
allah rakkhe us ka salamat ghurur-e-husn
aankhon ko jis ne di hai saza intizar ki
gulshan mein dekh kar mere mast-e-shabab ko
sharmai jari hai jawani bahaar ki
ai mere dil ke chain mere dil ki raushni
aa aur subh kar de shab-e-intizar ki
jurat to dekhiyega nasim-e-bahaar ki
ye bhi balaen lene lagi zulf-e-yar ki
ai 'hashr' dekhna to ye hai chaudhwin ka chand
ya aasman ke hath mein taswir yar ki
Ghazal
Chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki
Agha Hashr Kashmiri