chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai
kafir teri nazron mein kuchh aur hi chhal-bal hai
baala bhi chamakta hai jugnu bhi damakta hai
baddhi ki lipaT tis par tawiz ki haikal hai
gora wo gala nazuk aur peT milai sa
sine ki safai bhi aisi goya maKHmal hai
wo husn ke gulshan mein maghrur na ho kyun-kar
baDhti hui Dali hai uThti hui konpal hai
angiya wo ghazab jis ko malmal hi kare dil bhi
kya jaane ki shabnam hai nansukh hai ki malmal hai
ye do jo nae phal hain sine pe tere zalim
Tuk hath lagane de jine ka yahi phal hai
ubhra hua wo sina aur josh bhara joban
ek naz ka dariya hai ek husn ka baadal hai
kya kije bayan yaro chanchal ki rukhawaT ka
har baat mein dur dur hai har aan mein chal-chal hai
ye waqt hai KHalwat ka ai jaan na kar kal kal
kafir teri kal kal se ab ji mera bekal hai
kal main ne kaha us se kya dil mein ye aaya jo
kanghi hai na choTi hai missi hai na kajal hai
malum hua hum se ruThe ho tum ai jaani
ulTa hi dupaTTe ka mukhDe pe ye aanchal hai
ye sun ke lagi kahne ruThi to nahin tujh se
par kya kahun do din se kuchh dil mera bekal hai
jis din hi 'nazir' aa kar wo shoKH mile hum se
hath-pher hain bose hain din raat ki mal-dal hai
Ghazal
Chitwan mein shararat hai aur sin bhi chanchal hai
Nazeer Akbarabadi