chitwan jo qahr ki hai to tewar jalal ke
matlab ye hai ki rakh de kaleja nikal ke
waiz se bahs-e-baada-o-paimana kya karun
kuchh log rah gae hain purane KHayal ke
sau dagh jin ke lae hain zer-e-mazar hum
ehsan jata rahe hain wo do phul Dal ke
phir DhunDhta hai dil KHalish-e-KHar-e-arzu
pachhta raha hun dil se ye kanTa nikal ke
ye gham-kada hai is mein 'mubarak' KHushi kahan
gham ko KHushi bana koi pahlu nikal ke
Ghazal
Chitwan jo qahr ki hai to tewar jalal ke
Mubarak Azimabadi