chilchilati dhup sar par aur tanha aadmi
aah ye KHamosh patthar aur tanha aadmi
jis tarah ek barf ke Tile pe jalti ho chita
ye pighalta mom sa ghar aur tanha aadmi
is hisar-e-KHamushi mein barsar-e-paikar hain
tez aawazon ke lashkar aur tanha aadmi
kya usi ka nam hai ranai-e-bazm-e-hayat
tang kamra sard bistar aur tanha aadmi
kis tarah aabaad hogi dil ki suni kaenat
Dubte majruh manzar aur tanha aadmi
hae un be-kar zehnon ki ghani parchhaiyan
uf ye sannaTe ka ajgar aur tanha aadmi
raat ke nange badan se KHwahishon ki chheD-chhaD
har-ghaDi anjam ka Dar aur tanha aadmi
Ghazal
Chilchilati dhup sar par aur tanha aadmi
Chandrabhan Khayal