chiz jo bhul kar gai hui thi
lauTne par wahin paDi hui thi
bap aur bhaiyon ke hote hue
apne pairon pe KHud khaDi hui thi
kitne ghanTon ka KHwab dekhna hai
hath mein to ghaDi bandhi hui thi
main ne ahbab se kinara kiya
mujh ko paison ki jab kami hui thi
kai salon mein burqa chhuTa tha
baDi mushkil se raushni hui thi
suraKH-ru kis tarah na hote wo
sath bachchon ke man lagi hui thi
teri tenshan mein pina bhul gai
chae to samne rakhi hui thi
Ghazal
Chiz jo bhul kar gai hui thi
zahraa Qarar