اردو हिंदी
Chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai | Shaahi Shayari
chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai

Ghazal

Chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai

Anand Narayan Mulla

;

chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai
kaif sahba mein hai KHud jam mein kya rakkha hai

gungunata hua dil chahiye jine ke liye
is naza-e-sahar-o-sham mein kya rakkha hai

kaun kis tarah se hota hai harif‌‌‌‌-e-mai-e-zist
aur talKHaba-e-ayyam mein kya rakkha hai

ishq karta hai to kar aur nigahon ko buland
rishta-e-rah-guzar-o-baam mein kya rakkha hai

murgh-e-azad hua kya teri KHuddari ko
chand danon ke siwa dam mein kya rakkha hai

husn fankar ki ek chheD hai ishq-e-nadan
bewafai ke is ilzam mein kya rakkha hai

dekhna ye hai ki wo dil mein makin hai ki nahin
chahe jis nam se ho nam mein kya rakkha hai

den mere zauq-e-parastish ko duaen 'mulla'
warna patthar ke in asnam mein kya rakkha hai