chhuTTi ka din hai chahiye jaise guzariye
murgha laDaiye ki kabutar uDaiye
saDkon pe ghumne se tabiat ho jab uchaT
hotel mein baiTh jaiye qisse sunaiye
kha kha ke pan phunkiye cigarette nau-ba-nau
peshawaran-e-shahr se pengen baDhaiye
afsar ko dije ghar pe bula dawat-e-nigah
daftar mein ja ke roab phir apna jamaiye
rishwat ke dam-qadam se salamat hai zindagi
dil khol kar tamam hi KHushiyan manaiye
har waqt ghar mein baiThne se faeda 'matin'
chal phir ke zindagi ke tajarbe uThaiye
Ghazal
ChhuTTi ka din hai chahiye jaise guzariye
Syed Fazlul Mateen