chhuTi ummid to main haal-e-dil kahne se kyun Darta
masal mashhur hai sarkar marta kya nahin karta
bahut achchha hua dushman ne mujh se dushmani kar li
siwa mere na jaane aur kis kis ko ye le marta
agar dushman se aise pesh aate to maza pate
karun kya arz jo bartaw mujh se aap ne barta
kisi paiman-shikan ne rukte rukte baat to kar li
jo wade hi pe hum uDte to ye karta na wo karta
nahin mujh se teri be-e'tinai qabil-e-hairat
gharib insan duniya ki nigahon mein nahin bharta
safi' ne Thokaren kha ke bhi apni waza kab badli
samajh wala agar hota hasinon se bahut Darta

Ghazal
ChhuTi ummid to main haal-e-dil kahne se kyun Darta
Safi Aurangabadi