chhuT ke ye qaid-e-makan se la-makan tak jaegi
bahr-e-dil ki mauj bahr-e-be-karan tak jaegi
ek zara mahmez kar phir dekh is ke baal-o-par
fikr ki parwaz baam-e-asman tak jaegi
chupke chupke hi bhaDak uThenge jab andoh-e-gham
chupke chupke aanch bhi qalb-e-tapan tak jaegi
tum jalao to sahi rasiKH yaqin ki mishalen
jurat-e-dil wadi-e-azm-e-jawan tak jaegi
puchhta phirta hun main har rah se diwana-war
zist aai hai kahan se aur kahan tak jaegi
main KHulus-e-dil se 'hadi' jab pukarunga use
har sada-e-na-tawan us ke makan tak jaegi
Ghazal
ChhuT ke ye qaid-e-makan se la-makan tak jaegi
Manohar Lal Hadi