اردو हिंदी
ChhuT gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai | Shaahi Shayari
chhuT gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai

Ghazal

ChhuT gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai

Jaleel Sherkoti

;

chhuT gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai
maut kyun kahiye use bimar ko nind aa gai

dar-haqiqat aap the ya aap ka aks-e-jamil
waqai meri nazar kya aaj dhoka kha gai

main ne chaha tha ki phulon se basa lun pairahan
bu-e-gul bhi mere daman se magar katra gai

hum ko tark-e-arzu ka aaj ye hasil mila
aarzu ka nam le kar aarzu sharma gai

baj uTha saz-e-tarab aur jal uThe dil ke charagh
ittifaqan bhi agar un se nazar Takra gai

ban gai wajh-e-farogh-e-anjuman sham-e-hayat
zindagi thi aap ki aur aap ke kaam aa gai

us nigah-e-multafit ka mujh se phirna tha 'jalil'
aarzuon ke gulistan mein KHizan si chha gai