chhupi hai tujh mein koi shai use na ghaarat kar
jo ho sake to kahin dil laga mohabbat kar
ada ye kis kaTe patte se tu ne sikhi hai
sitam hawa ka ho aur shaKH se shikayat kar
na ho muKHil mere andar ki ek duniya mein
baDi KHushi se bar-o-bahr par hukumat kar
wo apne aap na samjhega tere dil mein hai kya
KHalish ko harf bana harf ko hikayat kar
mere banae hue but mein ruh phunk de ab
na ek umr ki mehnat meri akarat kar
kahan se aa gaya tu bazm-e-kam-yaqinan mein
yahan na hoga koi KHush hazar KHidmat kar
kuchh aur chizen hain duniya ko jo badalti hain
ki apne dard ko apne liye ibarat kar
nahin ajab isi pal ka ho muntazir wo bhi
ki chhu le us ke badan ko zara si himmat kar
KHulus tera bhi ab zad mein aa gaya 'bani'
yahan ye roz ke qisse hain ji bura mat kar
Ghazal
Chhupi hai tujh mein koi shai use na ghaarat kar
Rajinder Manchanda Bani