chhupae dil mein hum akasr teri talab bhi chale
kabhi kabhi tere hamrah be-sabab bhi chale
numud-e-gul ke karishme sada jilau mein rahe
nasim ban ke chale hum chaman mein jab bhi chale
jalao KHun-e-shahidan se irtiqa ke charagh
ye rasm chalti rahi hai ye rasm ab bhi chale
suna hai jada-nawardan-e-subh ke hamrah
ba-faiz-e-waqt kai rah-rawan-e-shab bhi chale
hai shor-e-shabnam-e-asudgi ke dosh-ba-dosh
gul aaj le ke kahin shola-e-ghazab bhi chale
kisi ka hukm-e-zaban-bandi-e-junun bhi chala
kisi ke qisse suKHan ban ke zer-e-lab bhi chale
hamin ne saghar-e-gham muntaKHab kiya 'arif'
wagarna bazm mein kuchh saghar-e-tarab bhi chale
Ghazal
Chhupae dil mein hum akasr teri talab bhi chale
Arif Abdul Mateen