chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain
shajar ko kaTne wale samar ki baat karte hain
jale hain jo nasheman rakh par un ki khaDe ho kar
jinhon ne phunk Dale ghar wo ghar ki baat karte hain
anasir jis ke the mehr-o-wafa shafqat adab ghairat
unhen jo bhul baiTha us bashar ki baat karte hain
ghire hain muddaton se jo andheron mein masaib ke
nahin aati kabhi jo us sahar ki baat karte hain
sabhi se bazm mein hans kar mili be-saKHta lekin
nahin hum par paDi jo us nazar ki baat karte hain
hue taqsim jab se dushmani qaem bhi hai lekin
udhar wale hamari hum udhar ki baat karte hain
nahin hai rabta jin ka 'asar' pairon ke chhaalon se
gharon se jo nahin nikle safar ki baat karte hain

Ghazal
Chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain
Pramod Sharma Asar