اردو हिंदी
Chhupa hun main sada-e-bansuli mein | Shaahi Shayari
chhupa hun main sada-e-bansuli mein

Ghazal

Chhupa hun main sada-e-bansuli mein

Wali Mohammad Wali

;

chhupa hun main sada-e-bansuli mein
ki ta jaun pari-ru ki gali mein

na thi taqat mujhe aane ki lekin
ba-zor-e-ah pahuncha tujh gali mein

ayan hai rang ki shoKHi sun ai shoKH
badan tera qaba-e-sandali mein

jo hai tere dahan mein rang o KHubi
kahan ye rang ye KHubi kali mein

kiya jiyun lafz mein mani sirijan
maqam apna dil-o-jaan-e-'wali' mein