chhupa hua jo numudar se nikal aaya
ye farq bhi tere inkar se nikal aaya
palaT paDa jo main sar phoD kar mohabbat mein
to rasta isi diwar se nikal aaya
mujhe KHaridna kuchh bhi na tha isi KHatir
main KHud ko bech ke bazar se nikal aaya
abhi to apne khanDar hi ki sair thi baqi
ye tu kahan mere aasar se nikal aaya
bahut se aur tilismat muntazir hain mere
agar kabhi tere asrar se nikal aaya
mujhe bhi de rahe the KHilat-e-wafa lekin
nazar bacha ke main darbar se nikal aaya
sire se jo kahin maujud hi na tha aaKHir
wo naqs bhi mere kirdar se nikal aaya
nai faza nae aafaq hain usi ke liye
jo aaj uDti hui Dar se nikal aaya
usi ko ek ghanimat qarar dunga 'zafar'
jo ek sher bhi tumar se nikal aaya
Ghazal
Chhupa hua jo numudar se nikal aaya
Zafar Iqbal